Ek agaaz khul ke jeene ka
ek awaaz jo dur kahin chupi baithi thi
ek ehsaas khud se khud ko milaane ka
ek saans jo apne mein hi ghuti baithi thi….

Na sukoon tha aaspaas
Na mann mein koi pyar ka ehsaas
Bas thi toh ek ummeed
Ki savera hoga ek din kuch khaas

Chalte chalte aankhein takraayi ek aayene se
Usne khole kayi Raaz….
Bola Teri aankhein hai ek chalti firti kitaab
Kyu chupaati hai inko duniya se
Ek mauka toh de
Likhne de inko ek naya saaz, hone de phir se ek nayi agaaz,
Palat gayi main dusri oar,
Sunn ke bhi Na suni maine us aayene ki awaaz …..

Agar likhne baithi toh aankhon se khaara Pani beh na jaaye
Geeley panno ki likhawat bohot kuch keh na jaaye
Us syahi ka rang phail na jaaye…..
Bas isliye, sunn ke bhi Na suni maine us aayene ki awaaz.

Photo by Inga Gezalian on Unsplash