Ek baar main kehti hu
It’s soch aayi hai dil mein
aaj barso ke baad,
ek khwahish si uthi hai
jo kahin chupi si thi
aaj barso ke baad….
koi taare tod laaye aisi koi aarzoo nahi,
koi chaand tak le jaaye aisi koi tamanna nahi,
safed ghode par sawar mujhe uda le jaaye
aisa koi sapna bhi nahi…
bas vo aaye, dheere se paas bualaye,
halka sa muskuraaye
aur dher saari khushiyan bikher jaaye
baaton hi baaton mein dil ke us taar ko choo jaaye
jo ab tak ansuni si thi
us maddham si roshni mein,
un bikhre andekhe ashko ko apni hatheli mein samete,
kuch kehne se pehle hi
un adhoori baaton ko pura kar jaaye…
jise mere hone ka ehsaas ho
sahara nahi, jo mere saath ho….
Bas ek baat aayi thi dil mein,
Barso ke baad….
Bas itni si khwahish jagi thi mann mein
Barso ke baad..
Photo by Artem Beliaikin on Unsplash