Dil ke darwaaze par ek dastak hui 

Aisa laga ki dur koi aahat hui… 

Kahin mach raha tha shor, 

Ek toofan sa tha charon or! 

Aisa hua ehsaas  

Jaise dur se aaya koi mere paas! 

Khulti band hoti khidkiyon mein se kaanch tootne lagey, 

Pedo ki shakhaao se kayi ghonsle bikharne lagey! 

 

Ek shor tha bahar…… 

Ek shor tha andar….. 

Band darwaaze ke taale ko main nihaarti rahi 

Kaise jaau bahar yahi sochti rahi !! 

Ek kadam uthaya maine aur chali main darwaaze ki or………. 

Khola darwaaza taaki sunn saku bahar ka shor! 

 

Bahar tha ek sannata chaya, na koi idhar na koi udhar se aaya…. 

Phir kahan se mach raha tha ye shor? 

Kaun tha vo jo aaya meri or??? 

Peeche mud ke dekha to thi ek gehri gufa 

Khadi thi main jahan, jum gayi wahan ki wahan 

Us andhkaar ka na tha koi annt 

Vo thi ek gehri surang!!!! 

 

Khadi main darwaaze par, khud ko yakeen dilaati, 

Ki agar ab na chalti , to shayad….. 

Andhkaar mein phansti jaati…… 

 

Dil par ek bhaar sa tha, 

Vo toofan mere andar hi tha!!!!!! 

Sapne the mere ghonslo jaise, 

Ummeedein thi kaanch ki tarah, 

Jab andar toota sab kuch toh laga ki bahar shor hua….. 

Toot ke jab shaant hua sab, 

Tab dil apne aap se roobaroo hua…. 

 

Ab samajh aaya, 

Vo dastak thi mere  mann ki jo jaan boojh  ke 

Mujhe us bhanwar se nikaal gaya!!!!!

Photo by Miha Arh on Unsplash