Kaafiron si zindagi hai

Hai akela mera mann

Main musafir raston ka

Manzilein to hain bharam

Hai nasibo mein safar to

Main kahin bhi kyun rukun

Chhod kar aaya kinare

Beh sakoon jitna bahun.

 

Ret par thehra hua main

Waqt ki ek boond hun

Na mila mujhsa pyasa

Main bhi dariya dhoond lun.

 

Na mila dil ko sukun

Dhal gaye kitne mausam

Dhundta he main raha

Is dard ka marham

 

Tere chehre se mukhatib

Jab huyi meri nazar

Chalte chalte tham gaya hai

Kyun achanak ye safar

Chun rahi mujhko khushi

Badla ye mausam.

Photo by Giorgio Parravicini on Unsplash