Ek samundar tha gehra sa,
Paani tha uska kuch thehra sa,
Ek khamosh si kashti dur se aati aayi nazar,
Na mujhe uski, na usko thi meri khabar….
Ek chhor par baithi takti rahi main usko,
Maajhi ki parchhayi dur se nazar aayi,
Suraj ko odhe rakha tha usne
Lehro ki thi chadar banayi
Bas yahi chhoti si kashti mujhe dur se nazar aayi….
Akela bekhauf tha vo us vishal samundar mein,
Apni manzil tak pahuchna bas seekha tha usne
Na koi raasta, na koi sahara,
Bas dikh raha tha usko apna kinara….
Ek soch aayi mere mann mein,
Ki main baithi kinare par
Phir kyu doob jaane ka darr hai mujhe,
Vo chala lehro ke beech
Phir bhi apni chaal mein mast hai….
Chala raha tha vo apni kashti,
Na jaana usne kya thi uski hasti,
Anjaane mein bta gaya vo mujhe
Akele chalna sikha gaya vo mujhe…..
Kyu rote hai hum kisi ke saath ke liye
Akele chalne ki ghabrahat mein jo maza hai
Uska lutf utha ke toh dekho,
Ek ya do nai, sab honge tumhare saath,
Nazar ghuma ke toh dekho!!
Photo by Ameen Fahmy on Unsplash